Poem - Jab tak rahegi jaan . . .
Tune itna pyar kiya,
Mujhe sara sansaar diya…
Phir kyun diya itna gam?
Kya dub ke aankho me meri,
Tune dekha kabhi…?
Kya Utar ke dil me ,
Tune Dhadkane meri suni kabhi…?
Phir kyun kiya aankho ka nam…?
Sath tera mera bas yahi tak ka tha…
Ye jo sab hua,
Kyunki uska likha hua tha…
TU PHIR SE CHALI AA…
BAS ITNA SA MAAN LE KAHA…
TUJHE PYAR KARTA RAHUNGA…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
Bhula dun tujhe, yaadein itni to kam nahi…
Muskura hi deta hun aksar,
Teri baatein kuch kam nahi…
Mana tu ab sang nahi, khawabo me tujhse milta rhuga…
Aa jaye maut bhi agr is parinde ko,
Kuch gam nahi…
Har ek saans par, har ek dhadkan par, marte dam tak tera hi naam rhega…
TU PHIR SE CHALI AA…
BAS ITNA SA MAAN LE KAHA…
KABHI NAHI BHULUGA TUJHE MAIN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
Mere jeene me, marne me tera naam aaya hai…
Roki nahi saanse maine,
Fir bhi ye ilzaam aaya hai…
Chale jaane se yun,
Kya hua hai tere,
Har ek roj tera hi khawab aaya hai…
TU PHIR SE CHALI AA…
BAS ITNA SA MAAN LE KAHA…
TERA SADA INTZAAR KARUGA MAIN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
Tune jo kiya, kabhi na kuch kaha maine…
Jo dard bhi diya, phullon ki tarha sab saha maine…
Kal se main bhi,
Bas teri kahaniyo – kisso me reh jaunga…
Tune to kabhi chaha nahi mujhe,
Par tu dil ke har hisse me sang jayega…
In aansuwo ki ab keemat bhi kya,
Dekhe the kuch khawab kal,
Aarjuwein , Armaan ,
Sab paani ki tarha beh jayega…
TU PHIR SE CHALI AA…
BAS ITNA SA MAAN LE KAHA…
TUJHE NAHI MAAF KARUGA MAIN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
Tera yun mujhe chod ke chale jaana…
Gair ki baahon me jake itraana…
Sab samajh aata hai mujhe…
Bhula dun kaise Bewafaa main,
Tere jhute kasmo – waadon ko…
Jal raha hun kaise ek – ek pal,
Tanha raaton ko…
TU PHIR SE CHALI AA…
BAS ITNA SA MAAN LE KAHA…
TUJHSE NAFRAT KARUNGA MAIN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
JAB TAK RAHEGI JAAN…
(c) Aman Jakhar
0 comments:
Post a Comment