Poem 3 - Tum Bin Jeena Ab Aasan Nahi…
Ishq se badhkar koi imaan nahi,
Mile wafa, to badhkar is se koi inaam nahi,
Bichud kar ab tujhse,
Jeena bhi to aasan nahi,
Bin tere bas ab ek naam hun,
Tere na hone ki saja hai, ki rahi koi meri ab pehchaan nahi…
Aajao laut ke,
Tum bin jeena ab aasan nahi…
Is dil me sirf tum hi
rehti ho,
Akela Jahan ab rehta hu –
Wo raha ab makaan nahi…
Aajao laut ke,
Tum bin jeena ab aasan nahi…
Rota hun, Bhatakta hun…
Koi manjil nahi
janchti, koi apna nahi lagta hai…
Haan Tum bin sab khali - khali sa lagta hai…
Ek tum hi to thi,
Jo mujhe apna kehti thi,
Ye dil hi tera ghar
tha,
Ye dil hi mera ghar tha,
Bichud jana yun to,
Hamari mahobat ka ye to mukaam nahi….
Aajao laut ke,
Tum bin jeena ab aasan nahi…
Koi raasta jo tujh tak nhi jata,
Koi nahi hai tere siva,
Is dil ko koi or nahi bhata,
Mar jaun kiye bin sajda tera,
Mera ye to anjaam nahi…
Aajao laut ke,
Tum bin jeena ab aasan nahi…
Socha tha apna bhi naam hoga mahobat ki is duniya me,
Mana ab hum sang nahi,
Jaante hai log tujhe or muje,
Hamari mahobat itni b benaam nahi…
Aajao laut ke,
Tum bin jeena ab aasan nahi…
Ae khuda bas tera sir pe haath chaha tha,
Ek duje ka marte dam tk sath chaha tha,
Kon jaanta tha tune likha kismat me yahi,
Kon jaanta tha,
Mera rab mujhe meharbaan nahi,
Aajao laut ke,
Tum bin jeena ab aasan nahi…
Tum bin jeena ab aasan nahi…
2 comments:
beatiful indeed!nice ..:)
thanks swati :)
Post a Comment