Mujhe fir se us barsaat ki aas hai...
Kaash laut aaye wo,
Jiski muje talab ab bhi hai.
Mil jaye muje bs ek wo,
Aanko me kaid jhalak jiski ab bhi hai.
Hum nahi jaante,
Jindgi ne kitne gham diye hai,
Mujhe jitne aansu diye,
Bas kam diye hai.
Chupa saku apne aansu...
Ya kahin chup ke roo saku...
Mujhe fir se us barsaat ki aas hai...
Kuch bhi to mere pas nahi,
Na pane ko,
Na khone ko...
Bas jo hain,
Teri yaadein hai...
Yaad nahi muje wajud bhi meri,
Yaad hai jo bas,
Wo teri baatein hai...
Baha le jaye jo bas,
Meri khusiyo ki raakh ko...
Mujhe fir se us barsaat ki aas hai...
Din dhal jata hai,
Jamane ko tere hi kisse sunane me...
Ye raat tehar kyu nahi jati,
Mere is tanha aasiyane me...
Gujaar saku sang tere,
Kuch or hasin pal...
Yuhi intjaar karta hu tera,
Par haan,
Aata nahi kabhi wo kal...
Mujhe fir se us raat ki aas hai...
Mujhe fir se us barsaat ki aas hai...
Itni bhi duri nahi hoti,
Laut kar aa na sako,
Aisi bhi koi majburi nahi hoti...
Laut ke aane ka waada hi kar jate,
Kaash umar meri yuhi...
Tumhari raah dekhte-dekhte kat jati...
Abhi bachi mujhme thodi si jindgi hai,
Kon jaanta hai,
Sayad meri aakhiri saans hai...
Mujhe fir se us barsaat ki aas hai...
Mujhe fir se us barsaat ki aas hai...
5 comments:
very nice
Thanks a lot :)
omg! thats... thats .. umm...
dnt u think i'll dishonour u cmnting on it ? :P
Thanks a lot Joshita ! flattered ! thats really sweet of u..u liked. :)
nyc effort...
Post a Comment